Website(blog) Ke Liye Tamplates Kha Se Kaise download Karte Hai

Agar Aapne Blog Banaya hai toh usko design karne ki bhi jarurat hai .toh sawaal hai ki blog(website) ko design kaise karte hai. Sabse phele aapko top feature wala blogger blog ke liye template download karna hoga .
Toh sabse phele hamko blog mei apni pasand ka templates install karna hoga. Lekin fir sawaal hai ki free templates kaise aor kha se download kare. Toh aaiye template ke baare mei jaante hai.

 Template Kya hota hai

Template kya hai iske liye mai aapko bata du ki template ek file hoti hai . jo RaR yaa Zip file hoti hai. Agar blog design karna hai toh template install karna jaruri hai. Template blog design karne ke kaam aata hai.

Blogger blog ke liye Template Template download karne ki 2 best Free site hai.

1) Soratemplates.com
2) Gooyaabitemplates.com
Template blog ka woh hissa hai jisse hamare blog ka look change ho jata hai. Agar aapko blog ke  template install karna hai toh blog banane ke  turant baad karna chahiye

Note:-

dhyan rakhe ki blogger blog ke liye template ZIP/RaR file mei download hota hai. Aor blog mei  XML file mei install hota hai. Mai ZIP file ko XML mei change karna bhi bataunga. Aap post padte jaiye.
Kishi bhi blog ke liye template ko download karte time kuch feature jarur dekh  le
Jo yha hai-
*SEO friendly
*Responsive
* Slider
*Responsive
* Ads ready
* Footer
Ye features toh hone hi chahiye.
Aor blog ke liye template download karte time “see demo live”  bhi dekh sakte hai ki blog kaisa dikhega.
Agar aapne template download kar liya hai lekin wo ZIP file mei hai.

ZIP Yaa RaR file ko XML mei kaise change karte hai?

Agar aapke paas computar hai toh aap change kar sakte hai
Agar nahi hai toh aapke paas andriod phone hai usme meri step follow kare.
Step:-1)  sabse phele playstore open kare
Step:-2)  fir search mei  ” RAR ” type karke search kariye .Aap neeche demo dekh sakte hai
3). Isko phone mei install karke open kare.
4)  ab file maneger mei jakar uss tamplates par √ click kariye jisko change karna chahte ho. Aor uske baad Aap Rar applicationke andar pauch jayenge. ab right side mei  ∆ par click kariye . neeche demo dekhe
5)  click karne ke baad  aap new page pahuch jaynge.
Niche demo dekiye
6) Ab aap OK buttion par click kariye.
Ab aap dekh rahe honge ki file transfar ho rahi hai aor ho chuki hai.
7) ab aap file manager mei uss jagha par jaiye jaha se aapne tamplate par click kiya tha. Aap dekhenge ki waha UPER aor NICHE kishi bhi taraf uss tamplate ke naam se folder ban chuka hai.
8) ab folder mei se us tamplate ki xml wali file ko dekh kar kahi dusri jagha move kar le jisse aapko blog mei install karne mei dikkat naa ho.

Last Words-

Umeed Hai Friends Aapko Yeh post Aasani se samaj aa gayi hogi Aor Pasand Bhi Aai Hogi. Agar blog ke liye template baare mei Hamse Kuch aor puchna hai toh hame contact page par sampark kar sakte ho . Agar aap sawaal ka jabab jaldi pana chahte hai toh post par comment kare.

Comments

Popular posts from this blog

भारत में एक ऐसी जगह जहां मर्दों की लगती है बोली…( Jigolo / Call Boy )

नाम राशि से जानिए इस साल किसी स्त्री-पुरुष का कैसा रहेगा प्रेम प्रसंग

अगर आपके पास है बिजनेस आइडिया तो ये कंपनियां देंगी पैसा